Google Adsense kya hota hai | How to make money with Adsense – 2019 (Hindi) - Blogging Dunia - Kamane Ka Asaan Tarika

Sunday, September 2, 2018

Google Adsense kya hota hai | How to make money with Adsense – 2019 (Hindi)

Agar aap ek blogger hain ya youtuber hain to aapko Google Adsense ke baare mein jaanna bahut zaroori hai kyunki yehi woh jaadui chadi hai jise ghooma kar aap bahut sara paisa kama sakte hain aur apni kismat badal sakte hain.

Read more about: Blogging start kaise kare – 2019 | Complete guide in hindi

Google Adsense kya hota hai aur kaise kaam karta hai?

Jaisa ki aap dekh rahe hain ki ‘Google Adsense’ mein ‘Google’ word ka istemaal hua hai, jo yeh batata hai ki yeh ek Google ka product/Service hai, jise istemaal karke hum apne website, blog yah video ko monetize kar sakte hain aur dher sara paisa kama sakte hain.
google adsense,adsense,make money online,how to make money from google adsense,make money,make money on youtube,google adsense kya hota hai,how to make money online,how to make money from youtube,make money adsense,make money from adsense,how to make money,google adsense hai kya,make money with adsense,how to earn money from google adsense,earn money online from google adsense
Google Adsense kya hota hai | How to make money with Adsense in hindi – 2018

Aapne kaafi time dekha hoga ki website/Blog/Video mein bahut saare vigyapan (advertisement) dikhai de rahe hain. Woh saare advertisement, Google Adsense ke dwara aapke platform par dikhaya jata hai. To iska matlab yeh hua ki Google Adsense ek mediator ka kaam karta hai jo advertisers ko publishers se connect karta hai.

Advertisers, Google ke paas jaate hai aur kehte hai ki unke advertisement ko aisi jagha dekhao jahan par kaafi log aate hai taaki woh apne product ko promote kar sake. Aisa kaam karne ke liye Advertisers, Google ko kafi sara paisa dete hain. Isliye, Google hum jaise logon ke blog/website/video ko chunta hai aur wahan advertisement dikhata hai.

Jaisa ki aapko shayad pata hoga ki agar koi advertising agent aapke platform ya jagah ko advertisement dikhane ke liye istemaal kare to uske liye woh aapko paise deti hai. Ekdum isi tarike se Google bhi hamare platform ko istemaal karne ka hame paisa deta hai. Jo paisa Google ko advertiser se milta hai usse woh maximum hame de deta hai aur kuch khud ke liye rakh leta hai.

To dekha jaye yahan par,

Advertiser = Companies jo Google ke paas jaati hai apni advertisements lekar.
Advertising Agent = Google Adsense.
Publisher = Hum log aur hamara platform (Blog/website/video,etc).

To hum yeh keh sakte hai ki Google Adsense ek advertisement network company hai jo baaki saare ad network companies se best hai. Best isliye hai kyunki ye visitors ko relevant ads dikhati hai aur baaki sabhi ad network companies se zyada pay karti hai. Google ko jitna bhi advertiser se milta hai uska 68% revenue share woh hame (Publisher) dedeta hai aur baki ka 32% khud rakh leta hai.

Kya aap saare Blog/website ko Google Adsense se connect kar sakte hain?

Haan, agar hum chahe to hum apne saare blog/website ko Adsense ke saath jod sakte hai jisse hamara blog/website monetize ho jata hai aur har mahine paise dene lagta hai.

Magar Google Adsense ka approval sabhi blogger ko asaani se nahi mil pata. Approval milne ke liye Google Adsense ke kuch criteria hai jisko poora karna bahut zaroori hai. Agar hum saare criteria ko madde nazar rakhte huye apni Blog/website banaye to approval milne se koi nahi rok sakta hai.

Apne Blog ko Google Adsense se monetize karne ke liye aapko Adsense me account kholna padta hai aur uske baad google aapki blog/website ko review karke dekhta hai ki aapki blog/website approval ke layak hai bhi ya nahi. Agar sab kuch sahi hai to aapko Adsense ki approval ek baar mein mil jati hai aur agar aapki site saari criteria poori nahi kar rahi hai to Google disapproved kar deta hai aur bata deta hai ki aapke site me kya chizo ki kami hai taaki aap usko sudhaar kar dobara apply kar sake.

Google Adsense Account Type:

Google Adsense account two types ka hota hai.
google adsense,adsense,make money online,how to make money from google adsense,make money,make money on youtube,google adsense kya hota hai,how to make money online,how to make money from youtube,make money adsense,make money from adsense,how to make money,google adsense hai kya,make money with adsense,how to earn money from google adsense,earn money online from google adsense
Google Adsense kitne types ka hota hai

Hosted Account – Jisko hum ‘hosted content’ wala Adsense bhi kehte hain.
Revenue share – Publisher (55%) & Google (45%),
Example - Blogger sub-domain (blogspot) wala, Youtube, etc.

[Note: Jab hum aisi jagah se apply karenge to hame hosted A/c hi milta hai]

Non- Hosted Account – Jisko hum ‘content’ wala Adsense ya fully approved account bhi kehte hain.
Revenue Share - Publisher (68%) & Google (32%)
Example - Wordpress, Wix, Jumla, Blogger custom domain wala, etc.

[Note: Jab hum aisi jagah se apply karenge to hame non-hosted A/c milta hai jo fully approved hota hai]

Hum keh sakte hain ki Non – Hosted A/c ke two benefits (Faede) hain:

  1. Agar hum is account ko Hosted A/c se compare kare to dekha jata hai revenue share hume yahan zyada mil pata hai.
  2. Jab hame ek blog/website ka approval mil jata hai to hum ek se zyada blogs/websites ko bhi yahan par connect kar sakte hain aur un sab blogs/website par bhi advertisement dikha sakte hain. Yeh saare blogs/websites ki approval lene ki bhi zaroorat nahi padti.

Adsense apply karne ka sahi waqt kya hai??

google adsense,adsense,make money online,how to make money from google adsense,make money,make money on youtube,google adsense kya hota hai,how to make money online,how to make money from youtube,make money adsense,make money from adsense,how to make money,google adsense hai kya,make money with adsense,how to earn money from google adsense,earn money online from google adsense
Google Adsense ke liye apply kab karein

  1. Create blog in blogger – Sab se pehle blogger mein ja kar apna blog create karein.
  2. Buy top level domain – Ek top level domain (.com, .org, .in, .net, etc) kharide kisi bhi domain provider company se aur unko apne blogger se connect/configure kare.
  3. Enable HTTPS – Apne Blogger ki Basic settings mein ja kar HTTPS enable karein taaki aapka site secure ho jaye.
  4. Publish atleast 15-20 post – Apne Blogger mein kam se kam 15-20 post daale aur 500-1000 words ka articles likhe apne har blog post mein.
  5. Create some important pages – Apne blog mein kuch khaas pages banaye jaise, About, Contact, Privacy policy, Disclaimer, terms & Condition. Disclaimer aur Terms & condition utna zaroori nahi hai.
  6. Simple free theme with white background – Ekdum simple aur free wala theme lagaye. Kyunki aise themes, footer editing bhi allow karte hain.
  7. Submit your blog sitemap to google and bing webmaster tool – Apne blog/website ke sitemap ko Google aur Bing ke websmaster tool me daale.(Dhyaan rakhe HTTPS enabled hona chahiye pehle se).
  8. Remove 3rd party ad codes – Agar 3rd party ad network ke ad units lage huye hain to please unko filhaal ke liye hata de taaki aapko approval mil sake. EK baar approval mil jaye tab dobara laga le. (Adsense aapka application reject bhi kar sakta hai agar kisi 3rd party ad network jaise media.net, etc ka ad codes apke site me laga hua hai).
  9. Now apply for AdSense – Ab aap Adsense ke liye apply kar sakte hai apne blog/website ko. Directly Google Adsense wale website mein ja kar hi Adsense ka account banaye aur apply karein. Sign up ke liye blogger ka hi Email ID istemaal karna zaroori hai.


Main ummeed karta hoon ki aapko yeh mera article bahut pasand aya hoga aur pata chala hoga ki Google Adsense kya hota hai, kaise kaam karta hai, kitne types ka hota hai, wagaira- wagaira. Jaisa maine upar bataya ki Adsense apply karne ka sahi waqt kab hota hai, agar aap usko sahi se follow karte hain aur step by step sab kuch karte hai to aapka blog/website 100% Google Adsense ke dwara approved hoga.

Agar aapko meri yeh post sach me helpful lagi ho to apne family aur friends me zaroor share kare aur niche comment section me ja kar zaroor comment kare taki mujhe pata chale ki aap ko meri ye post kaisi lagi aur aap kaisi post mujhse future me chahte ho.

Thanks,
BloggingDunia!

1 comment:

  1. I would like to express some appreciation to this writer just for rescuing me from such a challenge. As a result of looking out through the internet and getting techniques that were not helpful, I was thinking my entire life was over. Being alive without the approaches to the difficulties you’ve sorted out through this posting is a serious case, as well as the kind that would have badly damaged my career if I had not encountered your website. Your know-how and kindness in taking care of a lot of things was excellent. I am not sure what I would’ve done if I hadn’t come upon such a step like this. I am able to at this time look ahead to my future. Thanks for your time so much for this skilled and effective help. I will not hesitate to endorse your web sites to any individual who should get care on this problem. https://royalcbd.com/product/cbd-gummies-25mg/

    ReplyDelete