Domain kya hota hai | How to add custom domain to Blogger – 2019 (Hindi) - Blogging Dunia - Kamane Ka Asaan Tarika

Sunday, September 2, 2018

Domain kya hota hai | How to add custom domain to Blogger – 2019 (Hindi)

Kya aap ek blog ya website banana chahte hain??

Agar haan to aapko domain ki jaankari hona bahut zaruri hai kyunki iske bina aapka blog ya website logon tak nahi pahuch sakta. Isliye aap meri ye article poora padiye taki aapko iski poori jaankari mil jaye aur aap uske baad araam se apni blog ya website bana sake aur logon tak pahucha sake.


Domain kya hota hai?

Domain hum website ke us khaas hisse ko kehte hai jisse hamara website pehchana jata hai.
domain name kya hai,domain name kya hota hai,domain,domain name,domain name system,what is a domain name,what is domain,domain kya hai,domain name kya hota h,sub domain kya hai,domain name hindi,godaddy kya hota hai,domain name tutorial,domain name check,domain kya hai in hindi,domain name in hindi,buy domain,domain name kya hai hindi me,what is domain name,domain name registration
Domain kya hota hai | How to add custom domain to Blogger in hindi – 2018

Jaise agar aap address bar mein meri website address  dekhe to usmein jo bloggingdunia.com wala hissa hai use hi hum domain kehte hai aur yehi hamare website address ka khaas hissa hota hai jo hamare site ki identity hai.

Domain ka pehla hissa (before dot) domain name kehlata hai aur last wala hissa (after dot) domain type kehlata hai.

Domain kitne types ke hote hain??

Domain kaafi types ke hote hai. Agar hum domain to categories ke hisaab se divide kare to three main types ke domain hote hai.
domain name kya hai,domain name kya hota hai,domain,domain name,domain name system,what is a domain name,what is domain,domain kya hai,domain name kya hota h,sub domain kya hai,domain name hindi,godaddy kya hota hai,domain name tutorial,domain name check,domain kya hai in hindi,domain name in hindi,buy domain,domain name kya hai hindi me,what is domain name,domain name registration
Domain kitne types ke hote hain

#Top-Level Domain:

Top-level domain ka bahut zyada importance hai kyunki aisi domain wala websites search engines me kafi acchi ranking karti hai aur logon ka trust bhi aisi domain ke upar zyada hota hai.

Examples:
  1. .com (commercial)
  2. .org (organization)
  3. .net (network)
  4. .gov (government)
  5. .edu (education)
  6. .info (information)

#Country code top-level domain:


Yeh bhi top-level domain hai bas fark yeh hai ki aisi domain kisi particular country ke logon ko target karne ke liye li jati hai aur sirf us country ke log hi us website ko istemaal karte hain.

Examples:
  1. .in (India)
  2. .uk (United kingdom) 
  3. .us (United state)
  4. .cn (China)
  5. .jp (Japan)
  6. .br (Brazil)

#Sub-domain:


Sub-domain kisi top level domain ka hi hissa hota hai jo top level domain ke aage likha jata hai. Matlab top level domain ko bahut saare sub-domains mein divide kiya ja sakta hai. Jaisa ki aap jaante honge ki blogger.com ek top level domain hai aur jab aap blogger par blog banate ho to aapko free me sub-domain (Blogspot) diya jata hai.

Example: www.Bloggingdunia.blogspot.com

Domain kahan se kharida jaye??


Blog ya website banane se pehle aapko apne blog site ke liye ek unique domain kharidna bahut zaroori hai. Market mein kaafi domain providers available hain jo aapko domain bejte hain. Domain kharidne ke liye aapko simply, domain providers ke site mein jana hoga aur ek unique domain name choose karna padega. Agar woh domain available hua to aap woh domain ko paise de kar register kar sakte hain.
domain name kya hai,domain name kya hota hai,domain,domain name,domain name system,what is a domain name,what is domain,domain kya hai,domain name kya hota h,sub domain kya hai,domain name hindi,godaddy kya hota hai,domain name tutorial,domain name check,domain kya hai in hindi,domain name in hindi,buy domain,domain name kya hai hindi me,what is domain name,domain name registration
Best Domain Providers

 
Best Domain Providers:
  1. www.Godaddy.com
  2. www.Namecheap.com
  3. www.hostgator.com
  4. www.Bigrock.in
  5. www.Dreamhost.com
  6. www.Bluehost.in

Kuch domain providers aapko ek saal ke liye free domain bhi deti hai magar woh domain ek top-level domain nahi hota aur aise domain wale site search engine mein aasani se rank nahi karte. Isliye agar aap ek student hai aur naya naya blogging seekh rahe hain to aap aisa domain free mein le sakte hain magar usse acchi earning ki ummeed nahi kar sakte.

Domain Provider (jo free domain deti hai)http://www.freenom.com


Domain type jo free hai (one year ke liye).tk, .ml, .cf, .ga, .gq 

Custom domain ko Blogger mein kaise add kare?


Custom domain! Areh ab ye kaun sa naya domain category hai?

To doston, ghabraiye nahi yeh koi naya domain category nahi hai jab hum kisi domain ko change karke dusra domain lagate hain matlab customized kar pate hai usi ko hum custom domain kehte hain.

Nahi samjhe?? Chaliye detail me aapko samjhate hain.

Jab hum blogger me ek blog site banana hai to by default hame apni site ke liye blogger ka sub-domain (Blogspot) diya jata hai jo 100% free hota hai. Lekin aapne jaisa upar pada ki sub-domain wala site jaldi search engine me rank nahi karta aur usse paise bhi kamana thodi mushkil ho jati hai. Isliye behtar yeh hai ki hum ek acchi si top-level domain kharide kisi bhi domain provider se aur usse apne blogger ke saath add karein. Aisa karne se hamara blog/website ek sub-domain (blogspot) se top-level domain (com, org, net, etc) mein convert ho jayega. Matlab aapka blogspot wala site customized ho kar top-level domain ban jayega aur isliye hum ise custom domain kehte hain.
domain name kya hai,domain name kya hota hai,domain,domain name,domain name system,what is a domain name,what is domain,domain kya hai,domain name kya hota h,sub domain kya hai,domain name hindi,godaddy kya hota hai,domain name tutorial,domain name check,domain kya hai in hindi,domain name in hindi,buy domain,domain name kya hai hindi me,what is domain name,domain name registration
Add custom domain on Blogger with GoDaddy

Custom domain lagane ki step by step guide:

  1. Sab se pehle kisi domain provider (Godaddy.com) mein ja kar ek accha sa top-level domain kharid lein.
  2. Uske baad Blogger mein ja kar apne Google Email ID se sign-in karein jisse aapne blog create kiya hai.
  3. Dashboard ki settings me ja kar Basic option select karein.
  4. Publishing section ke ander Blog address box mein aapko aapki website address dikhegi jo blogspot mein hogi. Theek uske neeche aapko “+ Set up a third-party URL for your blog” ka option dikhega, uspar click karein.
  5. Third party domain settings ke box ke ander apna kharida hua domain ka naam poora likhe. Jaise - www.bloggingdunia.com aur save button ko click karein.
  6. Save button click karte hi aapko ek error message show hoga jo bolega ki aapka domain authority verify nahi hua hai. Uske neeche aapko two CNAMEs dikhenge jisme two fields dikhai dekha ek left mein hoga name/label/host field bol kar aur dusra right mein hoga destination/target/point to field bol kar.
  7. Aapko ye dono CNAMEs ko apne domain provider (Godaddy.com) mein add karna padega.
  8. Add karne ke liye domain provider (Godaddy.com) mein login karein aur apne kharide huye domain ke DNS settings ko click karein.
  9. Aapko DNA management ka interface dekhne ko milega jahan par aapko ye dono CNAMEs add karne padenge.
  10. Pehla CNAMEs ka name generally ‘www’ bol kar hota hai jo already aapke domain provider ke DNA management ke screen mein added hota hai aur dikhai deta hai magar uska point to value ‘@’ diya hota hai to aap sirf usko edit karke wohi dijiye jo aapke blogger settings ke point to field mein dikh raha hai.
  11. Dusra wala CNAMEs ka name add karne ke liye apne DNA management screen ke add button ko click karein aur CNAME type ko select karke name/host aur point to bhi enter karein.
  12. Yeh dono CNAMEs add karne ke baad aapko four A records bhi apne DNA management screen mein add karne padenge.
  13. Add karne ke liye add button click karein aur type box mein ‘A’ select karein name/host box mein ‘@‘ aur point to box mein 216.239.32.21 likhe aur save karein.
  14. Dobara add button click karein aur type box mein ‘A’ select karein name/host box mein ‘@‘ aur point to box mein isbaar 216.239.34.21 likhe aur save karein.
  15. Phir se add button click karein aur type box mein ‘A’ select karein name/host box mein ‘@‘ aur point to box mein isbaar 216.239.36.21 likhe aur save karein.
  16. Last mein ek baar aur add button click karein aur type box mein ‘A’ select karein name/host box mein ‘@‘ aur point to box mein isbaar 216.239.38.21 likhe aur save karein.
  17. Finally, blogger settings mein ja kar save button click karein aur kuch time wait karein kyunki kabhi kabhi sab kuch apply hone mein thoda time lagta hai.
  18. Uske baad HTTPS section mein ja kar ‘HTTPS Availability’ aur ‘HTTPS Redirect’ mein yes select karein aur blog address box ke edit option mein ja kar redirect wale check box mein tick karein.

Aapka blog site ek sub-domain se top-level domain mein convert ho jayega.

Main ummeed karta hoon ki aapko yeh mera article pasand aya hoga aur pata chala hoga ki Domain kya hota hai, kitne types ka hota hai aur kahan se kharida jata hai. Agar aap upar diye gaye steps by steps guide ko acche se follow karte hain to aap apne sub-domain wale site ko convert karke ek top-level domain wala site bana sakte hai aur google search engine mein apni site ko acchi ranking dekar bahut sara paisa kama sakte hain.

Agar aapko meri yeh post sach me helpful lagi ho to apne family aur friends me zaroor share kare aur niche comment section me ja kar zaroor comment kare taki mujhe pata chale ki aap ko meri ye post kaisi lagi aur aap kaisi post mujhse future me chahte ho.

Thanks,
BloggingDunia!

3 comments: